
woh mujhe mehndi lage haath dikha kar royi. . . .
. . .main kisi aur ki hun bas itna bata kar royi,
shaayad umar bhar ki judaai ka khayaal aaya tha use. . .
. . .woh mujhe paas apne bitha kar ,dukh ka ehasaas dila kar royi,
kabhi kehti thi ki main na jee paaungi bina tumhare. . .
. . .aur aaj ye baat dohra kar royi,
mujhse zyada bichadne ka gham tha use. . . .
. . . .waqt-e-rukhsat
main bekasoor hun kudrat ka faisla hai yeh. . .
. . .lipat kar mujhse bas woh itna bata kar royi,
mujh par dukh ka pahaad ik aur toota. . .
. . .jab woh mere saamne mere khat jala kar royi,
meri nafrat aur adaawat pighal gayi ek pal mein. . . .
. . .woh bewafa hai to kyun mujhe rula ke royi,
sab gile-shikwe mere ek pal mein badal gaye. . . .
. . . . jheel si aakhon mein jab aansu saja kar royi,
kaise uski muhabbat par shak karein hum. . . .
. . . .bhari mehfil mein woh mujhe gale laga kar roy
No comments:
Post a Comment